Tham sa gaya hai,
Subah subah hui ek anokhi paheli,
Suraj jab uga, na dikhi morning walkers ki toli,
Murga bhi kukdaya, par aayi na azaan ki Aawaz,
Sadak ke kutte ne bhi socha kya biscuit dene wala hai aaj naraaz
Prakriti toh chal rahi thi, fir bhi laga jaise sab kuch tham sa gaya hai,
Aaj jab koyel ki kuhu se nind khuli,
Ehsaas hua kaise virus kar raha hai humme bully.
Jis waqt ko hamesha tareste rahe
Jab aaj mila toh laga ab uska kare kya?
Roj ki zindagi mein hamesha waqt ki kamiyon ke baare mein sochte rahe
Kabhi yeh toh socha hi nahi ki mil gaya toh uska karenge kya?
Aaj jab sab kuch tham sa gaya hai, insaan bechain hai.
Aaj pinjare mein hum hai aur janwar aazaad hai,
Waqt hai kat jayga, par kya sab kuch pehle jaisa laut aayega?
Aaj toh iski shuruaat hai aur hum ant ki oor taak rahe hai.
Jisne duniya ko jhuka diya kya woh itni jaldi haar jayga?
Sab kuch tham sa gaya hai…